Believe me or not.
'Banane' me vo majaa bilkul nahi hai jo majaa 'bnne' me hai.
'bnne' ka majaa kuch aur hi hai.
'banana' risky hai, kuch krna pdta hai.
'bnna' safe hai aur aapko kuch bhi nahi krna pdta blki 'banane' vaala khud aapke 'bnnne' ke liye saari taiyaariyaan krta hai.
I agree ki 'banana' ek ucch- stariya kala hai aur samne vaale ko safalta poorvak 'bana' pana badi mehnat kaam hai.
lekin safalta-poorvak 'bana' paane vaale ye log virley hein, aur muskil se milte hei.
AApke aas-paas jitne bhi hein adhiktar nau-sikhiye hein aur saath hi galatfehmi me bhi hein ki ve saamne vaale ka 'bana' skte hein.
Unki yehi galatfehmi aapke maje ki neev rkhti hai.
Ye nau-sikhye 'banane' vaale jab bhi aapko 'banane' ki koshish krte hein, afsoos ki pkde jaate hai.
aur yahi se ye ultimate majoun vaala safar shuru hota hai.
Unke pkde jaane ke baad aapke paas do raste hote hai
-"ya to aap 'bnnne' se inkaar kar de"
-"ya to aap 'bnte' jaayein".
And belive me ki second vaala option jyada behtar hai.
vo isliye khush hoga ki vo aapko 'bana' paaya, aur aap isliye ki aap 'ban' gaye.
aap 'bnna' svikaar karein aur 'banane' vaale ko aapko 'banane' dene me poori madad karein
'Banane' vaale ko dhyaan se sune aur samjhne ki koshish kre ki vo aapse chahta kya hai.
agar vo chahta hai ki aap uski baat sun ke 'chounkein', to aap 'chounk' jaayein.
agar vo chahta hai ki aap uski 'taarif' kare, to aap 'taarif' kar de.
usse malum naa hone de ki vo 'nau-sikhiya banane' vaala hai aur aapko 'banane' me naa-kaamyaab raha hai
blki uske saath behte jaayein, apne aap 'bnte' jaayein.
agar aap usse yakin dila paaye ki usne aapko 'bana' diya hai
to samjho ki aapki lottery lag gayi kyunki ab vo baar baar aapko 'banane' aapke paas aane vaala hai.
'banate' samay uske dwara ki jaa rahi atirkt koshishon ko dekhein.
uski mehnat ko dekhein, uske chehre ko dekhein.
Uske chehre me se chup-chap jhaankti, aapko safalta poorvak 'bana' dene vaali khushi ko dhonndhe.
agar dhoondh paaye to sahi me tumhe bahut majaa aane vaala hai.
itna majaa ki tum agle do din tak mnd-mnd muskuraa sako.
End.